Monday, 10 August 2015
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se
Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se
Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se
Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se
Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se
Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai
Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ki Ho Ham Ne Haar Maani Hai
Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai
Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai
Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay
Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay
Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay
Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay
Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay
Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay
Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay
Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay
Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay
Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi
Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain
Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ?
Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai,
Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai,
Uske liye deewar ka saya bhi bohat hai,
Dekha nahi tanhayi mein tum ne kabhi usko, ,
Bichhrre hue logon ke liye roya bhi bohat hai,
Kuch tujhko mohabbat par yakeen tha na wafa par,
Kuch dukh meri taqdeer mein likha bhi bohat hai,
Beenai andheron se bhala kaise bachata,
Ek shakhs tere hijr mein jaga bohat hai,
Wo aur hai jo chhu kar tujhe dekhna chahte,
Mujhko tere khwabki duniya bhi bohat hai,
Kirdar se mehroom tha ye sheher to is na,
Humko dar-o-deewar par likha bhi bohat hai
Subscribe to:
Posts (Atom)