Monday, 10 August 2015
Sunday, 9 August 2015
Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumar karna,
Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumar karna,
Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumar karna,
Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,
Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumar karna,
Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,
Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumar karna,
Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,
Jab in ki yakh’bastgi parakhna, tamaazten bhi shumar karna,
Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,
Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumar karna
Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
Zara si baat par itna bikharne kyun lagi hoon,
Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,
Ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,
Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,
Thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,
Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,
Main ik imkaan thi manzil ka mittne kyun lagi hoon,
Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,
Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,
Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,
Ab apne hath se khat us ko likhne kyun lagi hoon,
Badan ki raakh tak bhi raston main na bache gi,
Barasti baarishon main yoon sulagne kyun lagi hoon,
Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,
Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon
Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,
Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,
Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,
Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,
Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,
Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,
Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,
Woh apne gaaon ki galiyan thi dil jin main nachta gaata tha,
Ab iss se fark nahi parta nashaad hua ya shaad hua,
Benaam satayesh rehti thi in gehri saanvli aankhon main,
Aissa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua
Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,
Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,
Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intisaab likhoon,
Woh lamha kitna ajeeb tha jab hamari aankhen gale mili theen,
Main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ka azaab likhoon,
Tumhi ne mere ujaarr raston pe khawhishon ke diye jalaaye,
Tumhi ne chaaha tha khushhk honton se chahton ke gulaab likhoon,
Kabhi woh din they ke neend aankhon ki sarhadon se pare pare thi,
Magar ab jab bhi sona chaahon tumhari yaadon ke khawb likhoon,
Main tanha larrki dayaar -e-shab main jalaaon sach ke diye kahan tak,
Siyaah-kaaron ki saltanat me main kis tarah aftaab likhoon,
Qayaadton ke junoon main jin ke qadam lahuu se range huye hain,
Yeh mere bass main nahin hai ke logo ko izzat-maab likhoon,
Yehi bohat hai ke in labon ko sadaa se mehroom kar ke rakh doon,
Magar yeh kesi musaalahat hai samandron ko saraab likhoon
Bohat tareek sehraa ho geya hai,
Bohat tareek sehraa ho geya hai,
Havaa ka shor gehraa ho geya hai,
Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,
Badan saara sunehra ho geya hai,
Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,
Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,
Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,
Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,
Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,
Mohabbat se sunehraa ho geya hai
Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain
Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain
Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain
Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain
Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain
Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain
Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain
Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain
Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae
Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae
Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae
Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae
Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae
Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae
Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae
Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae
Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae
Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae
Jis des ke koochay koochay me
Jis des ke koochay koochay me
Aflaas Awaara Phirta Ho
Jo Dharti Bhook Ugalti Ho
Dukh Dard Falak se Girta Ho
Jahaan Bhookay Nangay Bachay Bhi
AAHON pe Paalay Jatay Hon
Jahan Sachai ke Mujrim Bhi
Zindaan Me Dalaay Jatay Hon
Jahan Majbooron ke Khoon se Apne
PAAP Bhi Dhoye Jatay Hon
Uss Des ki Matti Barson se iss
Des ke Be-Hiss Logon ko
Azadi Mubarak Kehti Hai..
Azadi Mubarak Kehti Hai
Wednesday, 5 August 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)