Do you like this story?

Sunday, 9 August 2015

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae 

independence day

independence day
Pray to Allah Almighty,
And show some faith n dignity,
Quran be at your side,
Islam giving you a pride,
Sunnah be a light for you,
That will glow and let you do,
All the acts to make you feel,
Nothing but this land is real

Independence Day

Independence Day
Independence Day

‘ 14th August ‘
The Day of Sacrifice, the day of Love, the day of Decision..
Celebrating with the message of freedom and Peace of the World..

* Happy Independence Day *


Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray

Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho
Yahan Jo Phool Khily, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bi Majaal Na Ho

Jashn e Azadi Ko Manana Dosto…

Jashn e Azadi Ko Manana Dosto…
Jashn e Azadi Ko Manana Dosto…

Jashn e Azadi Ko Manana Dosto,
Khushyion Ke Deepak Bhi Jalana Dosto,
Guzarish Yahi Hai, Na Apne Dilon Se,
Shaheedon Ki Shahadat Ko Bhulana Dosto

Jis des ke koochay koochay me

Jis des ke koochay koochay me
Jis des ke koochay koochay me
Aflaas Awaara Phirta Ho

Jo Dharti Bhook Ugalti Ho
Dukh Dard Falak se Girta Ho

Jahaan Bhookay Nangay Bachay Bhi
AAHON pe Paalay Jatay Hon

Jahan Sachai ke Mujrim Bhi
Zindaan Me Dalaay Jatay Hon

Jahan Majbooron ke Khoon se Apne
PAAP Bhi Dhoye Jatay Hon

Uss Des ki Matti Barson se iss
Des ke Be-Hiss Logon ko

Azadi Mubarak Kehti Hai..
Azadi Mubarak Kehti Hai




Wednesday, 5 August 2015

Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai..

Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai..
Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai.. 

Warna kis Chez ko Dunya Mein Zawal Nai

Ishq B Seekha.. Mohabbat B Seekhi Wafa B Seekhi..

Ishq B Seekha.. Mohabbat B Seekhi Wafa B Seekhi..
Ishq B Seekha.. 
Mohabbat B Seekhi 
Wafa B Seekhi.. 

Kaash.. 
kuch Bewafayi Ka Hunar B Seekh Letey Tu Hum B Unki Tarah Khush Rehtey

Kitnay aish uratay hon gay kitnay itaratay hon gay

Kitnay aish uratay hon gay kitnay itaratay hon gay
Kitnay aish uratay hon gay kitnay itaratay hon gay 
Jaane kaise loog vo hon gay jo us ko bhatay hon gay 

Us ki yaad ki baad-e-sabaa mein aur to kya hota hoga 
Youn hii meray baal hain bikhare aur bikhar jaate hon gay 

Band rahe jin kaa daravaazaa aise gharon ki mat pocho 
Divaaren gir jaati hon gii aangan rah jaate hon gay 

Meri saans ukhartay hi sab bain karen gaz roen gay 
Yauni mere baad bhi yauni saans liye jaate hon gay 

Yaro kuch to baat batao us ki qiyamat baahon ki 
Vo jo simattay hon gay in mein vo to mar jaate hon gay

Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe..

Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe..
Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe.. 

Chor Gya Wo Shakhs Jis K Dhoke Me Tujhe Daikhte Thay.

Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga

Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga
Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga 

Wo mere baad kisi aur ka nahi ho ga

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..
Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon.. 

Apny aap sy bahir niklon TUM ho jaon.

Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya

Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya 
Kahaan kahaan teri yaadon ne dil ko thaam liya 

Fiza ki aankh bhar aayi, hawa ka rang urra 
Sukoot-e-shaam ne chupkay se tera naam liya 

Wo main nahi tha k ik harf bhi na keh paya 
Wo be'basi thi k jis ne tera salaam liya 

Har ik khushi ne tere gham ki aabroo rakh li 
Har ik khushi se tere gham ne intiqaam liya 

Wo ma'arka tha k fateh-o-shikast bhi na mili 
Wo na-murad ne kya jaane kis se kaam liya 
Poet: Shaaz Tamkanat

Baksh deta hai Khuda unko

Baksh deta hai Khuda unko
Baksh deta hai Khuda unko 
Jinki kismat kharab hoti hai 

Wo hargiz nahi bakshe jate hai 
Jinki neeyat kharab hoti hai 

Na mera ek hoga na tera lakh hoga 
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga 

Gurur na kar Shah e shareer ka 
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga 

Zindagi bhar branded branded karne waalo 
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota 

Koi ro kar dil bahlata hai 
Or koi hass kar dard chupata hai

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty, 
Yeh Log bhi kya Log hain mar Kyoun nhi jaty, 

Hai kon zamany mein mera poochny waLa, 
Nadaa'n hain jo kehty hain k ghr kyoun nhi jaty, 

ShoaLay hain to kyoun in ko bharrakty nhi daikha, 
Hain khaak to rahon mein bikhar kyoun nhi jaty, 

Aansu bhi hain Aankhon mein duaayen bhi hain Labb par, 
Bigrry huwy HaLaat sanwar kyoun nhi jatay..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...