Do you like this story?

Saturday, 1 August 2015

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty, 
Yeh Log bhi kya Log hain mar Kyoun nhi jaty, 

Hai kon zamany mein mera poochny waLa, 
Nadaa'n hain jo kehty hain k ghr kyoun nhi jaty, 

ShoaLay hain to kyoun in ko bharrakty nhi daikha, 
Hain khaak to rahon mein bikhar kyoun nhi jaty, 

Aansu bhi hain Aankhon mein duaayen bhi hain Labb par, 
Bigrry huwy HaLaat sanwar kyoun nhi jatay.

Teri yaadein Mulakaatein.

Teri yaadein Mulakaatein.
Teri yaadein Mulakaatein. 
Main kaise bhoolon Chahat ki wo barsaatein. 

Toohi mera dil hai Toohi meri jaan. 

Kabhi to paas mere aao. 
Kabhi to nazrein mujhse milao. 
Kabhi to dil se dil ko milao O Jaana. 

Meri jaan Palkein yon na jhukaana. 
Meri jaan Mujhse door na jaana. 
Meri jaan mujhko bhool na jaana. 
O Jaana. 

Mujhe lauta de Wo mera pyaar. 

Main tera hi Deewana hoon. 
Teri baatein Kabhi main bhool na paon.. 

Toohi Mera dil hai Toohi meri jaan. 

yaara Kyun khafa ho mujhse. 
O yaara kyun juda ho mujhse. 
O yaara mera pyaar hai tujhse. 
O Jaana. 

Tere bin Dillagi hai adhoori. 
Tere bin Aashiqi hai adhoori. 
Mujhe milna hai tujhse zaroori O Jaana. 

Mujhe lauta de wo Mera pyaar. 
Mujhe lauta de wo Mera pyaar

Tumhe jo besabab Mujhse khafa hone ki aadat hai,

Tumhe jo besabab Mujhse khafa hone ki aadat hai,
Tumhe jo besabab Mujhse khafa hone ki aadat hai,
Ye aagaz-e-judai hai ya Andaz-e-muhabbat hai,
Wafa ke rung mai dekho jafa achi nahi hoti,
Kisi se dosti mai itni ana achi nahi hoti,
Faqat kehne ki baatain hain nibhata kon hai kisko,
Chalo ab dekh lete hain manata kon hai kisko

Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,

Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,
Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum, 
badal gaya Irada tujhy Dekhny k baad.. 
Chain se So jati The Ma In Sohani Ratoun mein, 
Neendain Urh gyi Meri Tujhy dekhny k Baad.. 
Bohat Naaz tha Chand ko Apni Chandni Par, 
Chup gaya Badloun mein wo B tujhy dekhny K Baad.. 
Kya banao rishta teri zaat k sath, 
Uth Rahy hyn Sawal tujhy dekhny K Baad.. 
Apny Chehry ko Chupa k Rkho Khuda k Wasty, 
Dil ho Jata hy Be Qabu tujhy Dekhny k Bad

Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,

Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,
Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley, 
Darya jo lag rahe they samandar se ja miley" 

Har shakhs dorrta hai yahaan bheerr ki taraf, 
Phir ye bhi chahta hai usay raasta miley" 

Us aarzu ne aur tamasha bana diya, 
Jo bhi miley hamaari taraf dekhta miley" 

Duniya ko doosron ki nazar se na dekhiye, 
Chehre na parrh sakey to kitaabon mein kiya miley" 

Is dour-e-munsifi main zaruri nahin hai JOSH! 
Jis shakhs ki khata ho usi ko saza miley".!

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Dushmani shidat sey ho jati hai yaraney key bad.

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Dushmani shidat sey ho jati hai yaraney key bad.

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai

 Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai

Kia maza in haseen bahar’on ka

Kia maza in haseen bahar’on ka
Kia maza in haseen bahar’on ka
Sehan,gulshan aur rang par’on ka
Kesay guzar sakey ga wo in key sath
Jisey dukh ho bichray yaar’on ka
Aaj bari mudat key bad na janey kiun
Khat aya hai meray chahney wal’on ka
Laut aao in rast’on sey ‘Gul’
Ye sandesa hai meray piyar’on ka

Wo tera parda sirka key dekha

Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera anchal hata key dekha
mujh ko kahin pagal na ker dey
wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!
‘Nadeem’ ehad-e-shouq ki sunaey ja kahani’yan..

zindagi bhar koi sath ni deta yeh ab to jan ja..

zindagi bhar koi sath ni deta yeh ab  to jan ja..
zindagi bhar koi sath ni deta yeh ab  to jan ja..
                kamal
chahne  wale bhi tab yaad karte han jab wo khud akelay hon!

kabhi tuta nahi mere dil se tari yad ka rishta..

kabhi tuta nahi  mere dil se tari yad ka rishta..
kabhi tuta nahi  mere dil se tari yad ka rishta..

guftagu ho na ho khiyal tera hi rehta he!

Friday, 31 July 2015

Aaj Tak Qaim Hai Us-Kay Lout Aanay Ki Umeed,

Aaj Tak Qaim Hai Us-Kay Lout Aanay Ki Umeed,
Aaj Tak Qaim Hai Us-Kay Lout Aanay Ki Umeed, 

Aaj Tak Thehri Huwe Hai Zindagi Apna Jaga. 

Laakh Ye Chaha Kay Us-Ko Bhool Jaun Par..! 

Hoslay Apni Jaga Be-Basi Apni Jaga.

Aye bewafa......!

Aye bewafa......!
Aye bewafa......!
itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.

uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!

sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...