Do you like this story?

Saturday, 11 July 2015

Usy kehna bicharnay se mohabt to nhi mrti

Usy kehna bicharnay se mohabt to nhi mrti
Usy kehna bicharnay se mohabt to nhi mrti

Bichr jana mohabt ki sdaqat ki alamt he

Mohabt aik fitrat he
haan fitrat kb bdalti he

So jb hum door ho jain
naye rishton men kho jain

To ye mt soch lena tum mohabt mr gai hogi

Nhin aisa nhin ho ga, 

mery bary men sun k jb tmhari Ankh bhr Aaye

Chhalak kr 1 b Anso plak pr jo utar Aaye

To bs itna smaj lena,
jo mery naam se itni tery dil ko aqedat he

Tery dil men bichr kr b abi meri Mohabt he

Mohabt jo bikhr kr b sda Abad rhti he

Mohabt ho kisi se to hamesha yad rhti he

Mohabt wqt k be-rehm toofan se nhin drti

Usay kehna bicharnay se mohabt to nhi mrti..

T00ta hai mery pyar ka bandhan t0 kia hua.?

T00ta hai mery pyar ka bandhan t0 kia hua.?
T00ta hai mery pyar ka bandhan t0 kia hua.?

Barsa hai meri aankh se sawan t0 kia hua.?

Y0n B t0 sari dunia se kt k jiya h0n mein,

Tu B hua hai ab mera dushman t0 kia hua.?.

Seene mai dard aankh mai aansu sajy t0 hain,

Khaali hai tery pyar se daman t0 kia hua.?

Mujh k0 yaQeen hai k m0hbbat B aai gai,

Nafrat mai kt gaya mera bachpan t0 kia hua.?

Mujh k0 B pyar 00nchi urran0 se hai, Jaan.

TaQdeer mai nhi K0i nasheman t0 kia hua,

Na gila kia na khafa Huwy

Na gila kia na khafa Huwy
Na gila kia na khafa Huwy
Youhi rasty Me juda Huwy

Na wo bewafa na Me bewafa
Jo Guzr Gya so Guzr Gya!

Wo Ghazal ki Aik kitab Tha
Wo Gulon Me Aik Gulab Tha

Zra Dair ka koi khwab Tha
Jo Guzr Gya so Guzr Gya!

Wo Udas Dhop smeit kr
Kahin Wadion Me uter Gya

Usy ab Na de Mere dil sdaa
Jo Guzr Gya sO Guzr Gya!

Ye safr b Kitna Taveel hai
Yahan waqt Kitna Qaleel hai

Kahan Lot kr kOi ayeGa
Jo guzar gya so guzar gya..

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
!
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
! Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
!
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
!
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!

Friday, 10 July 2015

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do
Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do
Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do
Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do
Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

BicharnAy walay Chalay jo ho to bata k jao..

BicharnAy walay Chalay jo ho to bata k jao..
BicharnAy walay Chalay jo ho to bata k jao.. 
K kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hain.. 

K kitni subhen Akailay pann mein guzarni hain.. 
BAta k jaao K kitnay sooraj azaab raston ko daikhna hai.. 

K kitnay Maahtab sard raaton ki wussaaton say nikaaLnay hain.. 
Bata k jaao K chand raton mein waQt kesay guzaarna hai 
Khamosh Lamhon mein tujh ko kitna pukaarna hai 

BAta k jaao K kitnay Lamhay shumaar karnay hain hijrton k 
K kitny mosam mein keekh kar k judaaiyon me guzarnay hain.. 

Bata k jaao K panchhiyon nay Akelay pann ka sabab jo poochha to kya kahon ga 
Kisi nay rastay mein rok kar jo mujh say poochha.. 
K pichhlay mosam mein saye saye jo Ajnabi tha kahan gaya hai to kya kahon ga 
Bata k jaao... 

BAta k jaao k kiss say tera GiLa karon ga.. 
Bichharr k tujh say habeeb... 
Kiss sAy miLa karon ga.. 
Bataa k jaao..

Tumhari yaad k manzr kabhi khone nahi dete,

Tumhari yaad k manzr kabhi khone nahi dete,
Tumhari yaad k manzr kabhi khone nahi dete, 
Tumhari yaad k saye hame sone nahi dete, 
Ye badal,phool or khusboo boht betaab krte hain, 
Agar rona bhi chaahen hum kabhi rone nahi dete, 
Hum apni saans de ke rok lete jaane walon ko, 
Hmara bas agar hota juda hone nahi dete, 
Nazar mai deed ki hasrat liye chup chap bethe hain, 
Wo hum se door reh kar bhi hame sone nahi dete..

Phir na simty gi mohbbat jo bikhr jaey gi

Phir na simty gi mohbbat jo bikhr jaey gi
Phir na simty gi mohbbat jo bikhr jaey gi 
Zindgi zulf nhi jo phir sanwr jaey gi 

Thamlo haath uska jo pyar kare tmse 
Ye zindgi thehry gi nhi guzar jaey gi..

Khushbo Garift e akks me laya or is k baad

Khushbo Garift e akks me laya or is k baad   i
Khushbo Garift e akks me laya or is k baad 

Main deikhta raha teri tasweer thak gayi

Main Us k Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon,

Main Us k Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon,
Main Kabhi Kabhi tu Khud Ko Bhi Maar Deti Hoon.

Ye Mera Haq Hai K Main Us ko Thora Dukh Bhi Doon,
Main Chahat Bhi Tu Us Ko Beshumar Deti Hoon.

Khafaa Wo Reh Nahi Sakta Lamha Bhar Bhi,
Main Bohat Pehle Hi Us Ko Pukaar Leti Hoon.

Mujhe Siwa Us k Koi Bhi Kaam Nahi Soajhta,
Woh jo Bhi Karta Hai Main Sab Hisaab Leti Hoon.

Wo Sabhi Naaz Uthaata Hai Main jo Bhi Kehti Hoon,
Wo jo Bhi Kehta Hai Main Chupke Se Maan Leti Hoon.

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota


Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein

Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta

Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein Meehakta Rehta

Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kanghan Hota

Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.

Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.
Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.
Dunya ki Nighahon Se kahan Baat Chupi Hai.

Hansne Pe Na Majboor karo Log Hansain Gay.
Halaat ki Tafseer Tu Chehre Pe Likhi Hai.

Wo Bhool Gaye Hum ko Unhein Bhool Gaye Hum.
Ay Dost Magar Dil Me khalish Ab Bhi Wo hi Hai.

Mil Jayein kahin Wo Bhi Tu Un ko Bhi Sunaayn.
Jaalib! Ye Ghazal Jin k Liye Hum Ne kahi Hai

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi 
Kam Aakhir Ye Kar Gayi Wo Bhi 

Murr K Main Nay Bhi Aaj Na Daikha 
Bay Rukhi Say Guzar Gayi Wo Bhi 

Maira Jeevan Bhi Lot Aaya Hay 
Zulaf Aakhir Sanwar Gayi Wo Bhi 

Umar Bhar Sath Kon Daita Hay 
Sath Dainay Say Dar Gayi Wo Bhi 

Mairay Sajan Tujhay Ijazat Hay 
Aik Khawahish Thi Mar Gayi Wo Bhi 

Saij Hum Bhi Sajaye Baithay Hain 
Apnay Sajan K Ghar Gayi Wo Bhi 

Us K Pahlou Mein Dil To Tha Aakhir 
Kuch Na Kuch To Bikhar Gayi Wo Bhi 

Tang E Tareek Ghar Mein Rehta Hon 
Ik Sehar Thi Sehar Gayi Wo Bhi..

Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa

 Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa

 Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa
Mujhy..

Woh Imtehaan Main
Na Aatay Huye SawaLon Ki Tarah Thi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...