Do you like this story?

Friday, 10 July 2015

Main Us k Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon,

Main Us k Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon,
Main Kabhi Kabhi tu Khud Ko Bhi Maar Deti Hoon.

Ye Mera Haq Hai K Main Us ko Thora Dukh Bhi Doon,
Main Chahat Bhi Tu Us Ko Beshumar Deti Hoon.

Khafaa Wo Reh Nahi Sakta Lamha Bhar Bhi,
Main Bohat Pehle Hi Us Ko Pukaar Leti Hoon.

Mujhe Siwa Us k Koi Bhi Kaam Nahi Soajhta,
Woh jo Bhi Karta Hai Main Sab Hisaab Leti Hoon.

Wo Sabhi Naaz Uthaata Hai Main jo Bhi Kehti Hoon,
Wo jo Bhi Kehta Hai Main Chupke Se Maan Leti Hoon.

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota


Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein

Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta

Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein Meehakta Rehta

Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kanghan Hota

Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.

Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.
Tum Saaya-o-Masoom Ho Aur Hum Hain Gunahgaar.
Dunya ki Nighahon Se kahan Baat Chupi Hai.

Hansne Pe Na Majboor karo Log Hansain Gay.
Halaat ki Tafseer Tu Chehre Pe Likhi Hai.

Wo Bhool Gaye Hum ko Unhein Bhool Gaye Hum.
Ay Dost Magar Dil Me khalish Ab Bhi Wo hi Hai.

Mil Jayein kahin Wo Bhi Tu Un ko Bhi Sunaayn.
Jaalib! Ye Ghazal Jin k Liye Hum Ne kahi Hai

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi

Dosti Say Mukar Gayi Wo Bhi 
Kam Aakhir Ye Kar Gayi Wo Bhi 

Murr K Main Nay Bhi Aaj Na Daikha 
Bay Rukhi Say Guzar Gayi Wo Bhi 

Maira Jeevan Bhi Lot Aaya Hay 
Zulaf Aakhir Sanwar Gayi Wo Bhi 

Umar Bhar Sath Kon Daita Hay 
Sath Dainay Say Dar Gayi Wo Bhi 

Mairay Sajan Tujhay Ijazat Hay 
Aik Khawahish Thi Mar Gayi Wo Bhi 

Saij Hum Bhi Sajaye Baithay Hain 
Apnay Sajan K Ghar Gayi Wo Bhi 

Us K Pahlou Mein Dil To Tha Aakhir 
Kuch Na Kuch To Bikhar Gayi Wo Bhi 

Tang E Tareek Ghar Mein Rehta Hon 
Ik Sehar Thi Sehar Gayi Wo Bhi..

Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa

 Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa

 Chah Kar Bhi UsayChorr Kar Aana ParraNa
Mujhy..

Woh Imtehaan Main
Na Aatay Huye SawaLon Ki Tarah Thi

Tujhe yaad kar Loon To Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko..

Tujhe  yaad kar Loon To Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko..
Tujhe  yaad kar Loon To Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko..

Meri Tanhai Ka Elaaj Bhi Kitna Sasta HY

Guzarta saal hai, Aur saal ka ye aakhiri din hai.

Guzarta saal hai, Aur saal ka ye aakhiri din hai.
Guzarta saal hai,
Aur saal ka ye aakhiri din hai..
Abhi kuchh dhoop hai lekin,
Zara si derr ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai,
Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai.
Agar tayy hai yehi hona,
Toh phir kis baat ka khadsha ?
Toh phir kis baat ka rona ?
Chalo mil baith kar apne khasaare baant lete hain,
Sabhi rang aur jugnu aur sitaare baant lete hain.
Guzarta saal hai,
Aur saal ka ye aakhiri din hai..
Abhi kuchh dhoop hai lekin,
Zara si derr ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai,
Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai.
Agar tayy hai yehi hona,
Toh kyon na shaam se pehle..
Kisi anjaam se pehle..
Bhula kar har pareshaani,
Jhatak kar har takalluf ko,
Jo kuchh ghadiyan mayassar hain..
Inhi mein zindagi kar lein.
Kisi ehsaas ki shama jala kar in andheron mein,
Koi dum roshani kar lein,
Chalo hum dosti kar lein.
Guzarta saal hai,
Aur saal ka ye aakhiri din hai . !!

Mere Pass se guzra mera Haal tak na Poochha..

Mere Pass se guzra mera Haal tak na Poochha..
PARVEEN SHAKIR said.. 
Mere Pass se guzra mera Haal tak na Poochha.. 
Main kese Maan Jaaoon k wo door Ja k Roya.. 

AHMAD FARAZ Replied.. 
Tere Pass se jo Guzray Bekhudi main thay.. 
kuch door Ja k Sambhlay to Tujhe Yad kar k Roye.

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Mn ny usko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha

Mn ny usko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha
Mn ny usko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha,
Lekin akhir do ankhon sy kitna dekha ja sakta th

Bs yehi mukhtasir sa qissa hy.. Tu meri zindagi KA hissa hy..

Bs yehi mukhtasir sa qissa hy.. Tu meri zindagi KA hissa hy..
Bs yehi mukhtasir sa qissa hy..
Tu meri zindagi KA hissa hy..

Tohmatein Tu Lagti Hain

Tohmatein Tu Lagti Hain
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baahar Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Log Log Hote Hain
Inn Ko Kya Khabar Jaana’n
Aap Ke Iraado’n Ki
Khubsoorat Aankhon Mein
Basne Waale Sapno’n K
Rang Kaise Hote Hain
Dil Ki Gaud Aangan Mein
Palne Waali Baato’n K
Zakhm Kaise Hote Hain
Kitne Gehre Hote Hain
Kab Ye Soch Sakte Hain
Aisi Be-Gunaah Aankhein
Ghar Ke Kone Khudro’n Mein
Chhup Ke Kitna Roti Hain
Phir Bhi Ye Kahaani Se
Apni Kaj-Bayaani Se
Iss Qadar Rawaani Se
Daastan Sunte Hain
Aur Yaqeen Ki Aankhein
Sach Ke Gham-Zada Dil Se
Lag Ke Kitna Roti Hain
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Tohmato’n Ke Lagne Se
Dil Se Dost Ko Jaana’n
Ab Nidhaal Kya Karna
Tohmato’n Se Kya Darna
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baaher Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy.

Thursday, 9 July 2015

bewafalarka

bewafalarka

itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.

uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!

sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna. 

Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko,

Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko,
Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko, , ,
Hum Sath Hote Hain To Wafa Karte Hain Or Jab Door Hote Hain To DUA Karte Hain, , , ,
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...