Do you like this story?

Thursday, 9 July 2015

Koofy Main Eid K Din Manzar Ajeeb Tha

Koofy Main Eid K Din Manzar Ajeeb Tha
Koofy Main Eid K Din Manzar Ajeeb Tha
Ek Laash Be-Kafan Thi Wo Itna Ghareeb Tha

Pairon Main Beriyaan Thi Tann Pe Nahi Tha Sir
Pasr-e-Aqeel Ka Ye Kesa Naseeb Tha

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai
Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai
Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai

Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish
Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai

Har Zuban Par Aik Hi Faryad Wahan
Na Sajao Bazam-E-Eid Ye Be Talab Eid Hai

Palesteen Kal Bhi Maqtal Aur Aaj Bhi Maqtal
Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai

Kis Qadar Behis Ho Chuke Hain Log SHAHBAZ
Palesteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai

Kuch aur bhi jazboun ko be-naqab kia us ne Zaid mehndi lage hothoun se adab kia us ne

Kuch aur bhi jazboun ko be-naqab kia us ne Zaid mehndi lage hothoun se adab kia us ne

Kuch aur bhi jazboun ko be-naqab kia us ne
Zaid mehndi lage hothoun se adab kia us ne

Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath

Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath
Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath
Us K Lab-O-Rukhsar K Sath

Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalam Ho
Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath

Mein Us Ki Rafaqat Mein Khush Aise
Jise Gul Khush Hote Hain Bahaar K Sath

Kis Qadar Lutf Hai Us K iqraar Mein
Jab Nigah Jhokti Hai Izhaar K Sath

Mekhane Na Sharab Mein Wo NashaSHAHBAZ
Us Ki Aankhon Mein Jo Hai Khumaar K Sath

Qasam Hy 'Tum' Ko Meri 'Sanam' Is 'Eid' Pe Loat Kr Aa Jana

Qasam Hy 'Tum' Ko Meri 'Sanam' Is 'Eid' Pe Loat Kr Aa Jana

Qasam Hy 'Tum' Ko Meri 'Sanam'
Is 'Eid' Pe Loat Kr Aa Jana

Boht Tarapta Hy 'Tum' Bin Mera Dil
Rukh Apna Morr Kr Aa Jana

Mat Pocho 'Tum' Bin Jeevan Ki
Ye 'Shamain' Kese Dhalti Hen

Is Be'rang 'Mosam' Ki Ye Tanha
Raatain Kese Kat'ti Hen

Mere Liye Tum Apna Hr Ik
'Sapna' Torr Kr Aa Jana

Qasam Hy Tum Ko Meri 'Sanam'
Is 'Eid' Pe Loat Kr Aa Jana

Maloom Hy Zamany K Log Tumhen
Har Morr Pr Boht Sataen Gy

Kanty Bichaen Gy Rahon Mai
Lafzon K Teer Chalaen Gy

Is Aalam Mai 'Chadar' Tum Meri
Chahat Ki 'Oorh' Kr Aa Jana

Qasam Hy Tum Ko Meri 'Sanam'
Is 'Eid' Pe Loat Kr Aa Jana

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim
Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim
Rasm-e-Dunia Bhi Hai
Moqa Bhi Hai
Dastoor Bhi Hai
Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare
Husn Mastoor Bhi
Majboor Bhi
Maghroor Bhi Hai
Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte
Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte
Ye Mana Tum Haseen Ho Aur
Tumhain Haq Hai Shararat Ka
Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte
Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka
Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte
Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain
Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte
Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain
Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate
Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka
Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte
Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi
Mera Kehna Bhi Bura Nahi
Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim

Naya Sooraj naya jalwah nai tanweer Le aao.

Naya Sooraj naya jalwah nai tanweer Le aao.
Naya Sooraj naya jalwah nai tanweer Le aao. 
Hamaisha khawab laate ho kabhi ta'beer Le aao. 

Mere khwabon barri muskhil se is dil ko sulaaya hai. 
Kahin aisa na ho tum phir wahi tasweer Le aao. 

Hamara qatal aisa bhi koi mushkil nahi yaaron. 
Jigar haathon pe rakha hai tum apne Teer Le aao. 

Meri Gumm'nami per ye mashwara hai ahal-e-dunya ka.
Qalam ko baich kar bazaar se shamshir Le aao. 

Sunehre baal kholay muntazir baithi hai jo kab se. 
Musadaq zindagi se apni wo taqdeer Le aao.

Tootay Howe Khawabon Me Haqiqat Dhundta Hon.

Tootay Howe Khawabon Me Haqiqat Dhundta Hon.
Tootay Howe Khawabon Me Haqiqat Dhundta Hon. 
Pathar K Dilon Me Mahabbat Dhondta Hon. 

Nadan Hon Main Ab Tak Ye B Nai Samjha. 
Be Jaan Jisam Me Wafa Dhondta Hon. 

Mere Jazbaaton Ki Qeemat Yahan Kuch B Nai. 
Be Imani K Bazaaron Me Sharafat Dhondta Hon. 

Is Ajnabi Dunya Me Koi B Apna Nai. 
Ghairon Ki Ankhon Me Apni Surat Dhondta Hon. 

Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri. 
Girte Howe Ashkon Me Apni Hasrat Dhondta Hon

Mukhtsir si to Zindgani Hai..

Mukhtsir si to Zindgani Hai..
Mukhtsir si to Zindgani Hai.. 

Kiya tera Rothna ZarOOri Hai.

Dil K Band Makaan Mein,

Dil K Band Makaan Mein,
Dil K Band Makaan Mein, 
Khawahishein Saskti Hain, 
Ishq Been Karta Hai, 
Chahtein Saskti Hain, 

Mere Andar Aaj Bhi Door Tak Andhaira Hai, 
Mere Andar Aaj Bhi Wehshtein Saskti Hain, 

Jin Ko Meri Zaat Pe Aetmaad Tha Pyare, 
Aaj Bhi Wo Khoobroo Aurtein Saskti Hain, 

Ab Tere Wajood Ki Koi Zaroorat Hi Nahi, 
Ab To Jaan Boojh Kar Ye Rutein Saskti Hain, 

Kache Ghar K Aangnon Mein Khelti Hain Chahtein, 
Pake Ghar Mein Chand Jaisi Sooratein Saskti Hain.

Na Bazm Apni Na Saqi Apna Na Yaar Apna Na Jaam Apna..

Na Bazm Apni Na Saqi Apna Na Yaar Apna Na Jaam Apna..
Na Bazm Apni Na Saqi Apna Na Yaar Apna Na Jaam Apna.. 

Agar Yehi Hai Nizaam E Hasti GhaLib 
to Zindagi Ko SaLaM Apna..

Friday, 19 June 2015

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi
Hum jis par mit gaye they mohabbat usey b thi,

Chup ho gya tha dekh kar wo b idhar udhar
Dunya se meri tarha shikayat usey b thi,

Ye soch kar andhere galey se laga liye
Raaton ko jagne ki adat usey b thi,

Wo ro diya tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din hala'n k meri zarurat usey b thi,

Un pathron k sath nibhani pari usey Wasi
Jin se faqat mujhe nahi nafrat usey b thi.

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..
ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai.. 

WarNa Do0r Tak tumhari Raahein TakTi Thi Aaankhein..

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,
MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

UMarr Bhar Ki Judaai Ka RiShtaa...

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy


Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...