Do you like this story?

Friday, 19 June 2015

Mery bus mein agar yeh ho Janaan

Mery bus mein agar yeh ho Janaan
Mery bus mein agar yeh ho Janaan 

Main wafa teray naam kar jaaon..

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay
Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay 
Main ik shaam chura lon agar bura na lagay 

Tumhary bas mein agar hai to bhool jao hamein 
Tumhein bhulaany mein shayad hamein zamana lagy 

Jo doobna hai to itny sakoon sy doobo 
K aas paas ki lehron ko bhi pata na lagy 

Isi liye to khilaaye hain phool safhon par 
Hamein jo zakhm lagy hain wo dostana lagy 

Wo ik sitara k jo rasta dikhaye hamein 
Wo ik ishara k jo Harf e Mujarmana lagy 

Na jany kab sy koi mery saath hai Qaisar 
Jo ajnabi na lagy or Aashna na lagy..

Hamaisha dair kar deta hon main,

Hamaisha dair kar deta hon main,
Hamaisha dair kar deta hon main, 
Har kaam karny mein 
Zaroori Baat kehni ho Koi waada nibhana ho, 

Usy Aawaz deni ho Usy wapis bulana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Madad karni ho uski yaar ki dharas bandhana ho, 
Bohat Dareena raston par kisi sy milny jana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Badalty mosmon ki sair mein dil ko lagana ho, 
Kisi ko yaad rakhna ho Kisi ko Bhool jana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Kisi ko Moat sy pehly kisi ghum sy bachana ho 
HaQeeQat or thi kuch Usko jaa k ye btana ho, 

Hamesha dair kar deta hon main har kaam karny mein,

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan
Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan 
Yad kya tujh ko dilayen tera pemaan janaan 

Younhi Mosam ki ada dekh k yad aya hay 
Kis Qadar jald badal jatay hain Insaan janaan 

Zindagi teri ataa thi so teray naam ki hay 
Hum nay jesay B basar ki tera ehsaan janaan 

Dil ye kehta hay k shayad ho fasurda tu B 
Dil ki kya bat karein dil to hy nadaan janaan 

Muddaton sy yehi AaLam na TawaQQo na umeed 
Dil pukaray hi chala jata hay Janaan Janaan 

Hum Bhi kya saada thay hum nay Bhi samajh rakha tha 
Gham e Doraan say juda hay Gham e Janaan Janaan 

Ab k kuch aisi saji Mehfil e Yaraan janaan 
Sar Bazanu hay koi sar ba Girebaan janaan 

Ab tera zikar B shayad hi GhazaL mein Aaye 
Or say Or huway dard k unwaan janaan 

Hum k Roothi hoyi Rutt ko B manaa Letay thay 
Hum nay dekha hi na tha Mosam e Hijraan janaan 

Hosh aya to sabhi khwab thay reza reza 
Jesay urrtay huway OraaQ e Pareshaan janaan..

KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se

KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se
KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se 

JaiSe UnHe KiSi AuR Ne MaNa LiyA Ho

Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga..

Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga..
Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga.. 

Waqt ka kia he guzerta he guzar jaaye ga..

Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro

Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro
Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro 

Har Kaam Asaan Hone Se Pehle Mushkil Hota Hy.

Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana

Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana
Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana 
Paraye shehron ki gar Hawayen na ras ayen to loat ana 

Suna hai Hum ny Decembaron mein bujhi hoi Aag jall pary gi 
Tumhara Janaan khunak rutein jab badan jalayen to loat ana 

Hawass mein zarr ki Qadam utha k watan sy door to ja basy ho 
Hamein Malaal e Qadam uthana kabhi rulayen to loat ana 

Naye naye say marasmon k nai nai C RafaQton k 
Jo darmyan mein kabhi tumhein hum bhi yaad ayen to loat ana 

Suno Gullani.. 
Ye dooriyaan bhi ab itni ziada nahi hain achi 
Jo ab k mehfiL mein saray Humdam tumhein bulayen to loat ana..

If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing

If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing
If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing Your temperament or selfconfidence.. 
It means You are Educated

Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay

Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay
Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay 
Safaid Lamhon mein Rang Bharna Koi to seekhay 

Koi To Aaye Khizaan Mein pattay Ugaany WaLa 
GuLLon Ki khushboo ko Qaid Karna Koi To Seekhay 

Koi Dikhaye Mohabbaton k saraab Mujh ko 
Meri Nigaahon say Baat karna Koyi To Seekhay 

Koi To Aaye Nayi Rutton Ka Payaam Lay Kar 
Andhairi Raaton mein chand Banna Koi to Seekhay 

Koi Payamber Koi Imaam e zamaan Hi Aaye 
Aseer Zehnon Mein soach Bharna Koi to seekhay..

Nahi mumkin andheron mein chiraagon ko buja dena

Nahi mumkin andheron mein chiraagon ko buja dena 
Bohat mushkil hy meri jaan tmhen dil sy bhula dena 

Tumhen ik din sataaein gay meri chahat k sb jazbe 
Meri ghazlein meri Nazmein mere Khatt b jala dena 

Kabhi jo yaad auon main tumhein fursat k lamhoun mein 
Haseen hathon se kaghaz per mujhe likhna mita dena 

Tere Dil ko jo chain aye mere Dil ki kahani se 
Tu mujh ko bhi zara Dil se Mohabbat ki dua dena..

tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe

tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe
tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe 

aisa nahin banna mujhe wesa nahin banna

Ik din main Loat k aon ga..

Ik din main Loat k aon ga..
Kabi tunay ye socha hai k tery hont hiltay hain 
to mery Gulshan e DiL mein Hazaron phool khiltay hain 

Meray Kaanon ki shunwaaiTery honton ki jabeen say 
Khayalon mein haseen paikar banati hai 

Meri Janaan Teri ye sandLi Awaz Meri sans ki Lo ko barhati hai 
Mujhy awaz ko Qaidi banana hay 
Jo socha hay wo kar k B dikhana hay 

K main shayar Riwajon or reeton ka bura bandhan 
Bhalaa kab tk nibhaon ga. 

Meri Janaan Magar tum yaad rakhna.. 
Ik din main Loat k aon ga..

suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?

suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?
suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?
Ajab Hay Almiya In Ka 
Bohat He Shor Karty Hain 
Magar Andar Se Khaali Hain 

Yehi Mera Fasana Hay 
Bus Itni Si Paheli Hay 
Yehi Meri Kahani Hay..Suno Tum Ne Kabhii Sahil Pe Bikhri Rait Dekhi Hay 
Samundar Sath Behta Hay 
Magar Us K MuQaddar Mein Hamesha Pyas Rehti Hay 

Suno Tum Ne Kabhi Sehra Mein Jaltey Pairr Dekhay Hain? 
Sabhi Ko Chhaaon Detey Hain 
Magar In Ko Silay Mein Dhoop Milti Hay 

Suno Tum Ne Kabhi Shakhon Se Bichhartey Phool Dekhy Hain? 
Wo Khushbu Baant Detay Hain Bikhar Janay Talak 
Lekin Hawa Ka Sath Detey Hain 

Suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain? 
Ajab Hay Almiya In Ka 
Bohat He Shor Karty Hain 
Magar Andar Se Khaali Hain 

Yehi Mera Fasana Hay 
Bus Itni Si Paheli Hay 
Yehi Meri Kahani Hay..

Thursday, 18 June 2015

Aik Handsom Boy Class Mai Aya

Aik Handsom Boy Class Mai Aya
Aik Handsom Boy Class Mai Aya
Sari Girls Dekhte Hi Dewani
Larke Ne Aate Hi Kuch Kaha To Girls Behosh
.
.
SOCHO
.
.Kya Kaha?
.
.
.
Baji Jaga Den Jhaaro Lagana Hai. . . . .
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...